Shayari In Two Lines – Roz Woh Dhaass Bandhaa Jata Hai Tootay Dil Ki


Roz Woh Dhaass Bandhaa Jata Hai Tootay Dil Ki;
Yoon Woh Halaat Ko Behter Nahin Honay Deta!
Dhaass Bandhaa = Giving Hope

Shayari In Two Lines – Ronay Se Aur Ishq Mein Be-Baak Ho Gaye

Ronay Se Aur Ishq Mein Be-Baak Ho Gaye;
Dhoye Gaye Hum Itney Ke Bass Paak Ho Gaye!
~ Mirza Ghalib


Hindi Two Lines Shayari – Raha Youn Hi Namukkamal, Gham-E-Ishq Ka Fasaana

Raha Youn Hi Namukkamal, Gham-E-Ishq Ka Fasaana;
Kabhi Mujhko Neend Aayi, Kabhi So Gaya Zamaana!

Hindi Two Lines Shayari – Puche Na Zindagi Mein Kisi Ne Bhi Dil Ke Dukh

Puche Na Zindagi Mein Kisi Ne Bhi Dil Ke Dukh;
Ab Shehar Bhar Mein Zikr Meri Khud-Kushi Ka Hai!


Hindi Two Lines Shayari – Nadaan Ho Jo Kehte Ho Ki Kyon Jeete Ho Ghalib

Nadaan Ho Jo Kehte Ho Ki Kyon Jeete Ho Ghalib;
Kismat Mein Hai Marne Kee Tamanna Koi Din Aur!
~ Mirza Ghalib


Hindi Two Lines Shayari – Na Tadapne Kee Izaazat Hai Na Fariyaad Kee Hai

Na Tadapne Kee Izaazat Hai Na Fariyaad Kee Hai;
Ghuutt Ke Mar Jaaon Yeh Marzi Mere Sayaad Ki Hai!