Shayari For Mother – Labo Par Uske Kabhi Baddua Nahi Hoti


Labo Par Uske Kabhi Baddua Nahi Hoti
Bas Ek Maan Hai Jo Kabhi Khafa Nahi Hoti

Is Tarah Mere Gunaahon Ko Wo Dho Deti Hai,
Maa Bahut Gusse Mein Hoti Hai To Ro Deti Hai

Maine Rote Hue Ponchhe The Kisi Din Aansoo
Muddaton Maa Ne Nahi Dhoya Dupatta Apna

Abhi Zinda Hai Maa Meri Mujhe Kuchh Bhi Nahi Hoga,
Main Jab Ghar Se Nikalta Hoon Dua Bhi Saath Chalti Hai

Jab Bhi Kashti Meri Sailaab Mein Aa Jaati Hai
Maa Dua Karti Hui Khwaab Mein Aa Jaati Hai

Aye Andhere Dekh Le Munh Tera Kaala Ho Gaya,
Maa Ne Aankhein Khol Di Ghar Mein Ujaala Ho Gaya

Meri Khwaahish Hai Ki Main Phir Se Farishta Ho Jaun
Maan Se Is Tarah Liptun Ki Bachcha Ho Jaun

‘Munawwar’ Maa Ke Aage Yun Kabhi Khulkar Nahi Rona
Jahan Buniyaad Ho Itni Nami Achhhi Nahi Hoti

Shayari For Mother – Rato Ko Jag K Hum Ko Sambhala Khud Dard Sah K

Rato Ko Jag K Hum Ko Sambhala Khud Dard Sah K Hume Khush Rakha
Khud Na Kha K Humko Khilaya Duniya Me Uthne Bethna Ka Tariqa Sikhaya.


Shayari For Mother – Maa Tab Bhi Roti Thi,Jab Beta Khana Nahi Khata Tha

Maa Tab Bhi Roti Thi,Jab Beta Khana Nahi Khata Tha,
Aur Maa Aaj Bhi Roti Hai,Jab Beta Khana Nahi Deta.
Please Love Your Mom…I Love You Maa.

Shayari For Mother – Log Masjidon Main Jannat Talash Kartay Hain

Log Masjidon Main Jannat Talash Kartay Hain,
Fursat Itni Nahi Hoti Qadam Maa K Choom Lain.


Shayari For Mother – Maa Ki Dua Kabhi Khali Nahi Jati

Maa Ki Dua Kabhi Khali Nahi Jati
Unki Baddua Kabhi Tali Nahi Jati
Bartan Maaz Kar Ke Bhi Maa 4-5 Bachche Paal Leti Hai
Lekin 4-5 Bachchon Se 1 Maa paali Nahi Jati.


Shayari For Mother – Jab Perashanii Mein Ghir Jaatey Hain Hum

Jab Perashanii Mein Ghir Jaatey Hain Hum Pardes Mein
Aaansoo Ko Poochney Khawaboo Mein Aajatii Hain “Maa”