बगैर उसको बताये निभाना पड़ता है
ये इश्क राज है इसको छुपाना पड़ता है
मैं अपने ज़हन की ज़िद से बहुत परेशान हूं
तेरे ख्याल़ की चौखट पे आना पड़ता है
तेरे बगैर ही अच्छे थे क्या मुसीबत है?
ये कैसा प्यार है? हर दिन जताना पड़ता है
Category: Ghazal Lyrics
Hindi Ghazal Shayari – Kiya Yahi Matlab Hota Hai
Kiya Yahi Matlab Hota Hai Rishton Ka?
Ek Rishta
Jo Abhi Ban Raha Tha ,
Tootne Laga Magar Banne Se Pehle.
Ek Saahare
Se Uthay The Hum,
Gir Gaye Magar Sambhalne Se Pehle.
Seekhane
Lage The Aap Se Muskurana,
Rula Diya Magar Hansne Se Pehle.
Qadam Jo
Barhaye The Aap Ki Simt,
Ruk Gaye Waheen Chalne Se Pehle.
Maangne Ke
Liye Kuch Jo Jholi Phailaye,
Kheench Liya Haath Kuch Dene Se Pehle.
Humne Jo
Jalaye Umidon Ke Chiragh,
Bujh Gaye Magar Jalne Se Pehle.
Kiya Yahi
Matlab Hota Hai Rishton Ka?
Tootna Hota Hai Inhein Banne Se Pehle.
Hindi Ghazal Shayari – Koi Ghazal Suna Kar Kya
Koi Ghazal Suna Kar Kya Kerna,
Yoon Baat Barrha Kar Kya Kerna.?
Tum Mere Thay Tum Mere Ho,
Duniya Ko Bata Kar Kya Kerna.
Tum Ehad Nibhao Chaahat Se,
Koi Rasam Nibha Kar Kya Kerna.
Khafa Bhi Achhe Lagty Ho,
Phir Tum Ko Mana Kar Kya Kerna.
Tere Dar Pe Aa K Bethay Hen
Ab Ghar Bhi Ja Kar Kya Kerna
Din Yad Se Acha Guzray Ga
Phir Tum Ko Bhula Kar Kya Kerna…
प्यार की अलग अलग स्टेज के लिए शायरी - लव के स्टार्ट होने से ब्रेकअप तक
- Shayari To Admire Beauty of Girlfriend
- Shayari To Impress Someone
- Shayari To Propose For Love
- Shayari When Breakup But Still hope
- Shayari When Breakup Permanently
- Shayari When Dreaming About Perfect Love
- Shayari When Fall In Love
- Shayari When Feeling Lonely
- Shayari When Heart Broken
- Shayari When In Love (Romance)
- Shayari When Love At First Sight
- Shayari When Lover Starts Ignoring You
- Shayari When Missing Someone
Hindi Ghazal Shayari – Kisi Sabab Sy Agar Bolti
Kisi Sabab Sy Agar Bolti Nahi Hun Main,
To Yun Nahi K Tujhe Sochti Nahi Hun Main,
Main Tum Ko Khud Sy Juda Kr K Kis Trha Dekhun,
K Main B Tum H0N Koi Doosri Nahi Hun Main,
Mere Badan Ki Har Eint Main Anaa Rakhi Hai,
Main Khud Bani Nahi Banayi Hui Hun Main,
Mere Wajood K Andar Mujhe Talash Na Kya Kar,
K Is Makaan Mein Kabi Rahi Nahi Hun Main,
Main Ik Umr Sy Khud Ko Talashti Hun Magar,
Mujhe Yaqeen Nahi K Hun Bya Nahi Hun Main
Hindi Ghazal Shayari – Buhat Muddat Se Aisa Hai
Buhat Muddat Se Aisa Hai,
K Tum Khamosh Rehtay Ho,
Koi Gehra Hai Ghum Shayad,
Jisay Chup Chap Sehtay Ho,
Yunhi Chaltay Hue Tanha,
Koi Ghamgeen Se Naghma,
Tum Aksar Gungunatay Ho,
Doran-E-Guftago Yunhi,
Milein Nazron Se Jab Nazren,
Toh Baatein Bhool Jatay Ho,
Kisi Gum Sum Si Halat Mein,
Ya Phir Barish K Mousam Mein,
Faqat Itna Hi Kehtay Ho,
Udasi Bewaja Si Hai,
Buhat Bojhal Tabiyat Hai,
Bhala Sach Kyun Nahi Kehtay,
Mujhe Tum Yaad Kartay Hooo…!
Hindi Ghazal Shayari – In Faslon Ki Fikr Min
In Faslon Ki Fikr Main Kiyon Karon Bhala.
Bht Door Reh K Bhi Mere Pas He Koi.
Is Soch Min Duba He Bht Der Se Mera Dil.
Kia Us K Dil Min Bhi Aisa Ahsas He Koi.
Us Ki Nazron Se He Bana Meri Sanson Ka Tasalsul.
Is Trah Meri Zindgi Ki Aas He Koi.
Us Ka Jo Pucha He To Bas Itna Jan Lo.
Bht Khas, Bht Khas, Bht Khas He Koi.
Mohsin Jo Ja Rahe Ho To Use Ye Bhi Kehna.
Us K Bina Is Shehar Main Udas He Koi.
Hindi Ghazal Shayari – Me Mar Jau To Mere
Me Mar Jau To Mere Sirhane Na Bithana Us Ko,
Boht Tasalli Dena Boht Pyar Se Samjhana Us Ko,
Ghomne Ka Bahana Kar K Door Fizao Me Kahi Le Jana Us Ko,
Wo Bawafa Hy Us Waqt Ye Ehsas Na Dilana Us Ko,
Us K Samny Na Karna Batey Aesi K Meri Yaad Ajae,
Meri Tafri K Mashghale Suna Suna K Hansana Us Ko,
Wo Roye Ga Boht Bilawaje To Meri Rooh Tarap Uthegi Yaar,
Dost Tm Aesa Karna Meri Mout Ka He Na Batana Us Ko…….
Hindi Ghazal Shayari – Besbab Chor Dia Tm Ny
Besbab Chor Dia Tm Ny Koi Ilzam Dia Hota
Meri Khamosh Muhabat Ko Koi Nam Dia Hota
Me Mar Q Na Gia Teri Narazgi Se Pehly
Mujhy Chorna Tha To Koi Laqab-E-Badnam Dia Hota
Me Umar Bhar K Lye Nhi Kehta K Mera 7 Dedo
Bus Jeny Ko Koi Dilasa Kisi Sham Dia Hota
Tmhen Pany Ki Talab Me Kitna Roya Dil-E-Muntazir
Rat Bhar Jagny Ki Ibadat Ka Koi Inam Dia Hota
Agr Hum Na The Teri Wafa K Qabil
( Mohsin )
Hm Mar Hi Jaty Agr Zehar Ka Jam Dia Hota…
Hindi Ghazal Shayari – Kuch Log Sitam Karne Ko
Kuch Log Sitam Karne Ko Taiyar Baithe Hain,
Kuch Log Mager Hum Pe Dil Haar Baithe Hain,
Is Kashmakash Mein Humse Pehchane Nahi Jate,
Kahaan Dushman Hain Aur, Kahan Dost Yaar Baithe Hain,
Ishq Ko Aag Ka Dariya Hai Samajh Lijiye Hazoor,
Koi Uss Paar Baitha Hai Tu, Hum Is Paar Baithe Hain,
Kaun Kehta Hai Ke Is Shehar Mein Saare Hain Bewafa,
Humare Samne Do Chaar Wafadar Baithe Hain,
Kal Tak Jin Ki Hasrat Thi Humien Badnaam Karne Ki,
Aaj Wohi Log Apne Kiye Pe Sharamsaar Baithe Hain,
Duniyaa Se Rooth Jane Ki Khwahish Hai Humari,
Kya Karoon Is Khwahish Pe Pehredaar Baithe Hain.
Hindi Ghazal Shayari – Hum Aaj B Hen Soch
Hum Aaj B Hen Soch Men Dooby Hue “Mohsin”
Khud Se Kabhi Duniya Se Hain Roothe Huye “Mohsin”
Deney K Liye Us Ko Jo Hum Ne Thay Sambhale,
Wo Phool Kitabon Me Hen Sookhe Huye “Mohsin”
Wo Apni Jäfäön Me Kuch Kmi To Karain Aaj,
Ik Umer Hui Shehar Ko Chore Huye “Mohsin”
Hum Ne Yeh Kaha Tha K Unhein Pyar Hai Hum Se,
Hum Aaj Bhari Bazam Me Jhoote Huye “Mohsin”
Agosh Mein Unki Hum Rahat Jo Mli Hy,
Hum Aaj Kuch Andar Se Hen Toote Huye Mohsin.