ना छेड़ किस्सा ऐ उल्फत का, बड़ी लम्बी कहानी है ..
मैं गैरों से नहीं हारा, किसी अपने की मेहरबानी है……
Tag: hindi poetry 2 lines
Ye Sahil Per Bikhrey Huye Phool
Ye Sahil Per Bikhrey Huye Phool;
Na Jane Aaj Phir Kiski Mohabbat Doob Gayi!
Yeh Ajab Qayamaten Hain Teri Rahguzar Main Guzaari
Yeh Ajab Qayamaten Hain Teri Rahguzar Main Guzaari;
Na Ho Ke Mar Mittain Hum, Na Ho Ke Jee Uthain Hum!
~ Faiz Ahmad Faiz
Yun Bhi Hota Hai Ki Yak Dam Koi Achha Lag Jaye
Yun Bhi Hota Hai Ki Yak Dam Koi Achha Lag Jaye;
Baat Kuch Bhi Na Ho Aur Dil Mein Tamasha Lag Jaye!
~ Zafar Iqbal
Zaroori Ye Nahi, Ki Ishq Mein Tum Taj Banwao
Zaroori Ye Nahi, Ki Ishq Mein Tum Taj Banwao;
Zaroori To Ye Hai Ki, Bas Ishq Mein Tum Khud Mit Jaao!
Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai ‘Mohsin
Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai ‘Mohsin’;
Teri Aankhein Mere Khwabon Se Kitni Milti Julti Hain!
~ Mohsin Naqvi
Yahi Bahut Hai Ki Tumne Palat Ke Dekh Liya
Yahi Bahut Hai Ki Tumne Palat Ke Dekh Liya;
Yeh Lutf Bhi Meri Umeed Se Zyada Hai!
Ye Mohabaat Ka Bandhan Bhi Kitna Ajeeb Hota Hai
Ye Mohabaat Ka Bandhan Bhi Kitna Ajeeb Hota Hai;
Mil Jaayein Toh Baatein Lambi, Bichhar Jaayein Toh Yaadein Lambi!
Wo Mujhse Door Ho Kar Khush Hein To Khush Hi Rehne
Wo Mujhse Door Ho Kar Khush Hein To Khush Hi Rehne Do;
Mujhe Apni Chahat Se Zyada, Uski Muskrahat Pasand Hai!
Woh Hazar Dushman-e-Jaan Sahi Phir Bhi Mujhe Aziz
Woh Hazar Dushman-E-Jaan Sahi Phir Bhi Mujhe Aziz Hai;
Jise Khak-E-Paa Teri Chu Gayi, Woh Bura Bhi Ho To Bura Nahi!
~ Jigar Moradabadi