Yun Hi To Nahi Dil Mera Tujhe Talashta Firta;
Kar Yakeen Manzil Ka Tu Hi Hai Kinara Mera;
Yun Hi To Nahi Aayi Sada Teri Hawaon Mein Behkar;
Haule Se Tumne Hi Hoga Naam To Pukara Mera!
Tag: four lines shayari
Zindagi Mein Kisi Ek Se Karo Pyaar Itna
Zindagi Mein Kisi Ek Se Karo Pyaar Itna;
Ki Kisi Aur Se Pyaar Karne Kee Gunjaish Na Rahe;
Woh Muskurade Aap Ko Dekh Kar Ek Baar;
To Zindagi Se Phir Koi Khwaish Na Rahe!
Zindagi Mujhse Yun Daga Na Kar
Zindagi Mujhse Yun Daga Na Kar;
Main Zinda Rahu Bin Uske Ye Dua Na Kar;
Dekhta Hai Use Koi To Hoti Hai Jalan;
Ai Hawa Tu Bhi Use Chuaa Na Kar!
Garmiye Hasrat-E-Nakaam Se Jal Jaate Hain
Garmiye Hasrat-E-Nakaam Se Jal Jaate Hain;
Hum Chiraagon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaate Hain;
Shama Jalti Hai Jis Aag Mein Numayish Ke Liye;
Hum Usi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaate Hain;
Jab Bhi Aata Hai Tera Naam Mere Naam Ke Saath;
Jaane Kyon Log Mere Naam Se Jal Jaate Hain!
Woh Zindagi hi kya jisme Mohabbat nahi
Woh Zindagi Hi Kya Jisme Mohabbat Nahi,
Woh Mohabbat Hi Kya Jisme Yaadein Nahi,
Woh Yaadein Kya Jisme Tum Nahi,
Aur Woh Tum Hi Kya Jiske Saath Hum Nahi.
Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai
Yaadon Ki Dhund Me Aapki Parchai Si Lagti Hai,
Kaanon Me Gunjti Shahnai Si Lagti Hai,
Aap Karib Ho To Apnapan Hai,
Warna Seene Me Saanse Bhi Parai Si Lagti Hai.
Ye Dil Bhulata Nahi Hai Mohabbatein Uski
Ye Dil Bhulata Nahi Hai Mohabbatein Uski;
Padi Hui Thi Mujhe Kitni Aadatein Uski;
Ye Mera Sara Safar Uski Khushbu Mein Kata;
Mujhe To Raah Dikhaati Thi Chahatein Uski!
~ Noshi Gilani
Ye Husn-e-Raaz Mohabbat Chupa Raha Hai Koi
Ye Husn-E-Raaz Mohabbat Chupa Raha Hai Koi;
Hai Ashk Aankhon Mein Aur Muskura Raha Hai Koi;
Nazar Nazar Mein Tajalli Dikha Raha Hai Koi;
Nafaz Nafaz Pe Mujhe Yaad Aa Raha Hai Koi!
~ Qadeer
Woh Karte Hain Baat Ishq Kee
Woh Karte Hain Baat Ishq Kee;
Par Ishq Ke Dard Ka Unhe Ehsas Nahi;
Ishq Woh Chand Hai Jo Dikhta Hai Sab Ko;
Par Use Pana Sab Ke Bas Ka Kaam Nahi!
Woh Mujh Par Ajeeb Asar Rakhta Hai
Woh Mujh Par Ajeeb Asar Rakhta Hai;
Mere Dil Kee Tamaam Khabar Rakhta Hai;
Shayed Main Use Bhool Hi Jati Magar;
Yaad Aane Ke Woh Saare Hunar Rakhta Hai!