Kabhi Aansu To Kabhi Khushi Dekhi;
Humne Aksar Mazboori Aur Bekasi Dekhi;
Unki Narazgi Ko Hum Kya Samjhe;
Humne To Khud Apni Taqdeer Kee Bebasi Dekhi!
Tag: dard shayari in 4 lines
Four Lines Shayari – Jo Teer Bhi Aata Vo Khaali Nahi Jaata
Jo Teer Bhi Aata Vo Khaali Nahi Jaata;
Maayoos Mere Dar Se Savaali Nahi Jaata;
Are Kaante Hi Kiya Karate Hain Phoolon Ki Hifaazat;
Phoolon Ko Bachane Koi Maali Nahi Jaata!
Four Lines Shayari – Justaju Khoye Hue Kee Umar Bhar Karte Rahe
Justaju Khoye Hue Kee Umar Bhar Karte Rahe;
Chaand Ke Humraah Hum Har Shab Safar Karte Rahe;
Raaston Ka Ilm Tha Na Hum Ko Simton Kee Khabar;
Shehar-E-Na-Maaloom Kee Chahat Magar Karte Rahe!
~ Parveen Shakir
Four Lines Shayari – Kaayi Si Jam Gayi Hai Aankhon Par
Kaayi Si Jam Gayi Hai Aankhon Par;
Sara Manzar Hara Sa Rehta Hai;
Sehma Sehma Daraa Sa Rehta Hai;
Jaane Kyon Dil Bhara Sa Rehta Hai!
~ Gulzar
Four Lines Shayari – Jo Nahi Aata Uska Intezar Kyon Hota Hai
Jo Nahi Aata Uska Intezar Kyon Hota Hai;
Kisi Ke Liye Apna Yeh Haal Kyon Hota Hai;
Waise To Iss Duniya Mein Kafi Cheezein Pyaari Hain;
Jo Nahi Milta Usi Se Pyaar Kyon Hota Hai!
Four Lines Shayari – Jis Din Meri Arthi Iss Duniya Se Vida Hogi
Jis Din Meri Arthi Iss Duniya Se Vida Hogi;
Ek Alag Sama Hoga Ek Alag Baat Hogi;
Kehna Uss Bewafa Se Mar Gaye Tumhare Chahne Wale;
Ab Na Hum Hain Aur Na Hamari Batein Hogi!
Four Lines Shayari – Jise Khud Se Hi Nahin Furstain
Jise Khud Se Hi Nahin Furstain;
Jise Khayal Apne Kamaal Ka;
Usey Kya Khabar Mere Shoq Ki;
Usey Kya Pata Mere Haal Ka!
Four Lines Shayari – Jo Ho Ek Baar Wo Har Baar Ho Aisa Nahi Hota
Jo Ho Ek Baar Wo Har Baar Ho Aisa Nahi Hota;
Hamesha Ek Hi Se Pyaar Ho Aisa Nahi Hota;
Har Ek Kashti Ka Apna Tazurba Hota Hai Dariya Mein;
Safar Mein Roz Hi Manjhdhar Ho Aisa Nahi Hota!
~ Nida Fazli
Four Lines Shayari – Jane Kis Mor Pe Le Aayi Hai Zindagi
Jane Kis Mor Pe Le Aayi Hai Zindagi;
Band Hain Dareechey Tamam Na Koi Kinara Dikhai De;
Nahi Maloom Ulfat Kee Hai Kaun Si Manzil;
Ki Tere Siwa Ab Na Humein Guzara Dikhai De!
Four Lines Shayari – Jhutha Muskurane Ki Ab To Aadat Ho Gayi Hai
Jhutha Muskurane Ki Ab To Aadat Ho Gayi Hai;
Ye Zindagi Bhi Ab To Teri Yaadon Ki Ibaadat Ho Gayi Hai;
Chal Rahi Hai Bas Saanse Ab To Iss Murda Jism Mein;
Varna Rooh To Kab Ki Tere Sath Ruksat Ho Gayi Hai!