Woh Chand Hai Magar Aap Se Pyaara To Nahi;
Parvane Ka Shama Ke Bin Guzara To Nahi;
Mere Dil Ne Suni Hai Ek Mithi Se Awaaz;
Kya Apne Mujhe Pukara Toh Nahi!
Category: Urdu Shayari
Woh inkar karte hain ikrar ke liye
Woh Inkar Karte Hain Ikrar Ke Liye,
Nafrat Bhi Karte Hain To Pyar Ke Liye,
Ulti Chaal Chalte Hain Yeh Ishq Karne Wale,
Ankhein Band Karte Hain Didar Ke Liye.
Woh Karte Hain Baat Ishq Kee
Woh Karte Hain Baat Ishq Kee;
Par Ishq Ke Dard Ka Unhe Ehsas Nahi;
Ishq Woh Chand Hai Jo Dikhta Hai Sab Ko;
Par Use Pana Sab Ke Bas Ka Kaam Nahi!
Woh Mujh Par Ajeeb Asar Rakhta Hai
Woh Mujh Par Ajeeb Asar Rakhta Hai;
Mere Dil Kee Tamaam Khabar Rakhta Hai;
Shayed Main Use Bhool Hi Jati Magar;
Yaad Aane Ke Woh Saare Hunar Rakhta Hai!
Woh Paas Aate To Hum Baat Kar Lete
Woh Paas Aate To Hum Baat Kar Lete;
Wo Sath Rehte To Hum Pyaar Kar Lete;
Kya Majburi Rahi Jo Woh Chale Gaye;
Wajah To Batate Hum Intezar Kar Lete!
Wo Jo Aaye To Meri Zindagi Ko Zindagi Mili
Wo Jo Aaye To Meri Zindagi Ko Zindagi Mili;
Dil Ke Viraan Shagufo Ko Phir Se Taazgi Mili;
Faila Hua Hai Noor Is Kadar Khaksaar Se Unke;
Gham-E-Zulmato Ko Unke Hi Dum Se Roshni Mili!
Wo Mere Pyar Ka Kis Qadar Mazak Udha Gaya
Wo Mere Pyar Ka Kis Qadar Mazak Udha Gaya;
Ke Muje Muhabbat Karne Ki Saza Suna Gaya;
Humne Muhabbat Ka Agaz Ush Se Hi Kiya Tha;
Or Wohi Is Ko Injam Tak Phocha Gayaa!
Wo Inkaar Karte Hain Iqraar Ke Liye
Wo Inkaar Karte Hain Iqraar Ke Liye;
Nafrat Bhi Karte Hain To Pyaar Ke Liye;
Ulti Chaal Chalte Hain Yeh Ishq Karne Wale Bhi;
Aankhein Band Karte Hain Deedar Ke Liye!
Waqt Aur Khushi Tere Gulam Honge
Waqt Aur Khushi Tere Gulam Honge;
Ye Pal Ye Pehlu Tere Hi Naam Honge;
Dekhna Kabhi Jhuk Kar Neeche Bhi Ai Humsafar;
Tere Har Kadam Ke Neeche, Mere Haathon Ke Nishan Honge!
Wo aaj phir mile aankhein chaar hui
Wo Aaj Phir Mile Aankhein Chaar Hui;
Dil Se Dil Ki Phir Ek Baar Takraar Hui.
Kehne Lage Kahan Hain Mohabbat Teri;
Hmne Kaha Wahin Dafan Hai Jahan Apki Duniya Abaad Hui.