Shayari Dil Se 4 U

Best Love Shayari In Hindi

Shayari On Girl Beauty

Na Kar Aye Baghbaan Shikwa Gulaabon Ki

Na Kar Aye Baghbaan Shikwa Gulaabon Ki Be-Nayazi Par
Haseen Jo Bhi Hote Hain Zara Maghroor Hote Hain…


Advertisements
loading...

woh chaand jaisi ladki, woh sitaron jaisa aanchal


Advertisements
Loading...

woh chaand jaisi ladki, woh sitaron jaisa aanchal,
woh phool jaisi komal, woh paanv jaise makhmal.

woh moti jaisi aakhen, woh hirni jaisi chaal,
woh chandi jaisa rang hai, woh sunehre hai baal.

woh bole toh bole sangeet hai, woh hanse toh hai saaz,
woh kaanton sa chubhta hai, woh phoolon sa andaaz,

woh gussa jaise bijli, woh julfein hai ghatayein
woh aansu jaise barkha, woh saasein hai hawayein.

woh bindiya jaise jugnu, woh chudiya woh kangan,
woh paayal karti chan chan, woh khushboo jaise chandan.

woh chandni si sheetal, woh chaand pe hai rehti,
woh udti hai gagan me, woh jharno si hai behti.

woh dil ki hai haan dhadkan, woh dil se mere kehti,
woh chaand jaisi ladki, woh chaand jaisi ladki.

loading...
loading...
Loading...
Shayari Dil Se 4 U © 2015